Sunday 8 April 2012

Boondein

Kabhi safed si os me chuchaap si so jaati hain boondein
Kabhi aankhon ke paani me chhup kar rulati hain boondein
Kuch log kehte hain ki jhoot hai ye magar
Har waqt har pal mera saath nibhaati hain boondein

Aksar khamoshi ki awaaz me kuch kehti hain
Har ek dard ko khud me samet kar khush rehti hain
Har lamha beet ta hai ek arse jaisa
Aur har arse me jane kya kya seh jaati hain boondein

Jab sari sari raat neend nahi aati hai
Jab koi khwahish khuli aankhon me sapne le aati hai
Aur wo sapne jab sach hone ko hote hain
Tab khushiyaan ban kar aankhon se beh jaati hain boondein

Na jaane kya kuch apne me samet ti hain boondein
Upar se nahi kehti bass andar se dekhti hain boondein
Jab koi nahi deta do kadam ka saath bhi
Us waqt mere saath akeli reh jaati hain boondein

No comments:

Post a Comment